Wednesday 29 June 2011

Mere Dard Ko Jo Zuban Milay

 

Meraa dard naghma-e-besada
Meri zaat zarra-e-bay nishaan

Mere dard ko jo zubaan mile
Mujhe apanaa naam-o-nishaan mile

Merii zaat ko jo nishaan mile
Mujhe raaz-e-nazm-e-jahaan mile

Jo mujhe ye raaz-e-nihaan mile
Merii khaamoshii ko bayaan mile

Mujhe kaayanaat kii saravarii
Mujhe daulat-e-do-jahaan mile

By Faiz Ahmed Faiz

Kis Qadar Zulm Dhaya Kertey Ho

"Kis Qadar Zulm Dhaya Kertey Ho
By Wasi Shah

Kis Qadar Zulm Dhaya Kertey Ho
Yeh Jo Tum Bhool Jaya Kerte Ho

Kis Ka Ab Haath Rakh Ke Seene Per
Dil Ki Dhadhkan Sunaya Kerte Ho

Hum Jahan Chaye Peene Jate Thay
Kia Wahan Ab Bhi Aaya Kerte Ho

Kon Hai Ab Ke Jis Ke Chehre Per
Apni Palkon Ka Saaya Kerte Ho

Kiun Mere Dil Mai Rakh Nahee Dete
Kis Liye Gham Uthaya Kerte Ho

Phone Per Geet Jo Sunate Thay
Ab Wo Kis Ko Sunaya Kerte Ho
                                             Akhiri Khat Mai Usney Likha Tha
                              Tum Mujhe Yaad Aaya Kerte Ho

Beqarari Si Beqarari Hai

Beqarari Si Beqarari Hai"
By John Elia

beqarai si beqarari hai

wasl hai aur firaaq taari hai

jo guzaari na ja saki hum se
hum ne woh zindagi guzari hai

us se kahiyo kay dil ki galioN meiN
raat din teri intezari hai

ik mehak samt-e-jaaN se aai thi
maiN yeh samjha teri sawari hai

haadisoN ka hisab hai apna
warna har aan sab ki baari hai

bin tumhare kabhi nahiN aai
kya meri neend bhi tumhari hai

nigharay kya hue keh logoN par
apna saaya bhi ab to bhari hai

khush rahe tu ke zindagi apni
umr bhar ki ummeed wari hai

aap meiN kaisay aauN mein tujh bin
saaNs jo chal rahi hai aari hai

hijr ho ya wisal ho kuchh ho
hum haiN aur us ki yaadgari hai

Kuch keh denay ki dastaras tu hasil nahi

"Kuch keh denay ki dastaras tu hasil nahi"

By Ahmad Sabih


Jis aaghosh-e-Nakheel ko tum ne qaid-e-tanhai samjha

woh qila junoon-e-fitrat se banaya tha mein ne
Ek Dunya hasraton ki wahan bhi basti thi
Bas tum ko Nigah-e-Mukhalif se chupaya tha mein ne
Bari azaad uraan bhartay ho mauje-e-saba mein
par ehsaas-e-qurbat ko kuch dur paya tha mein ne
Jin rangon ko tum ne tabbasum ka zarya samjha,
Jazbaat k un teelon ko khud he giraya tha mein ne
Kuch keh denay ki dastaras tu hasil nahi,
bas ek bhara hua dil basaya tha mein ne

Kal halki halki barish thi

Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka raqs bhi tha
Kal phool bhi nikhre nikhre the
Kal un main tumhara aqs bhi tha
Kal baadel kaley gehrey the
Kal chand pe lakhon pehrey the
Kuch tukrey tumhari yadon ke
Barhi der tak dil main thehrey the
Kal yadain uljhi uljhi theen
Aur kal tak yeh na suljhi theen
Kal yaad boht tum aye the
Kal yaad boht tum aye the.